Thursday, October 11, 2007

मंजिल

Chal jag uth musafir, soch le jana hai kahan
Manzil ko apne dimag me rakh
Fir rasta dhundh
Manzil ke bare me soche bina
Raste pe bhatakta rahega to kahan se milegi manzil tujhe?
Fir na sochna ki yeh kahan le aayi zindagi hame?
Jab malum hi na tha ki jana hai kahan ?

Lekin kabhi yeh bhi zaroori hai ki
Bina manzil ke bare me soche huye
Sirf raste pe chalte raho.
Shayad naye raste pe chalte chalte
Nayi manzilein mil jaye
Hum jis cheez ko manzil maan le woh hi hamari aakhri ya sahi manzil ho
Aisa zaroori to nahi.
To kyon na manzil ko musafir dhundhane de? Na ki musafir ko manzil.

Waisa hi kuch rishto ke bare me hota hai
Kaun sa rishta kya sikha jaye
Kaun sa rishta tumhe kya de jaye ?
Zindagi ke tohfe kai baar ummid se alag hi hote hai
Jaise ki raste kai baar manzilon se juda hote hai.
Aaj tak sochte rahe ke kyon aise log zindagi me aaye
Jinki wajah se khub sare dukh mile
Par fir se sochne me yeh pata chala ki
Woh bhi kuchh reasons the, woh bhi kuchh seasons thi
Jiski wajah se zindagi ke raste ko kai sare naye mod mile
Naye rasto ki pahechan huyi aur nayi manzilo ki taraf chal pade.

Bas ab to woh hi sochte hai hum
Ki ab jis raste pe chal rahe hai
Who shayad hame manzil tak pahuchaye
Aur agar yeh rasta manzil tak nahi jata hai
To shayad yeh rasta hame nayi manzil ki talash karvaye !!!!